Friday, June 29, 2018

URL se kisi bhi file ko Google drive me kaise upload kare in Hindi

URL se kisi bhi file ko Google drive me kaise upload kare

Hello and welcome dosto mai hu Ashish aur aap padh rahe hai HOW TO ASHISH aur aaj mai aap logo ko batane ja raha hu ki kaise hum kisi bhi file ke kewal URL se us file ko Google drive me save Kar sakte Hai to chaliye jyada der na krte hue jaan lete hai ki kaise hum kewal URL se kisi bhi file ko Google drive upload Kar sakte Hai.


  • URL se Google drive me file upload kyo karna?

Actually hota ye Hai ki aaj ke daur me Jo bhi online work karta Hai usko Google drive ki bhi jarurat padti apne data ka backup rakhne ke liye specially blogger Jo ki kisi website or blog ko chalata Hai usko apne articles or post ka backup rakhna bahut jaruri hojata Hai Jo ki Google drive ek safe option Hai apne data ka backup rakhne ke liye to kabhi kabhi bloggers ko URL ki help se hi apna data upload karne ka khyal aata Hai to aaj mai usi ke bare me batane ja raha hu ki kaise bloggers URL ki madad se apne data files ko Google drive me upload Kar sakte Hai.
  • URL se kisi bhi file ko Google drive me kaise upload kare?

Step#1:

URL se Google drive me file upload karne ke liye sabse pahle aapko ek website par Jana hoga jiska naam hai save to drive aap yaha se click karke bhi ja sakte haiCLICK KAREN

Step#2:

Website par Jane ke baad samne likha hoga Authenticate us par click Karen

Step#3:

Jis Gmail ID se Google drive me login Kiya Hai vahi Gmail ID se yaha login kare aur connect par click Karen
Jab aapka Google account connect ho jayega to aapke samne ek green color ki Patti me notification show hogi aur successfully authenticated likha hoga.

Step#4:

  1. Ab neeche URL dalne ki jagah dikhai degi waha par aapko Jo bhi file upload karni Hai uska URL dale
  2. Neeche box ko check✓ rahne de taki file upload hone ke baad aapki email address par mail aajaye ki file upload hui Hai ya nahi
  3. Agar aapko apni file ka name change karna ho to Kar sakte Hai warna rahne de
  4. Upload par click Karen

  • File uploading time kitna lagega?

Bat saf Hai jitni jyada badi [MB] aapki file hogi utna jyada time lagega aur depend karta Hai aapke internet connection par ki apka internet connection kitni speed de raha Hai.
Kuch der baad jab aapki file Google drive me upload ho jayegi to aapke samne ek message show hoga.

  • IMPORTANT NOTICE#
Kisi bhi file ko URl se kaise upload kare google drive me[Howtoashish]

Abhi abhi savetodrive website se aap apni kisi bhi file ko URL se upload nahi kar sakte hai kyonki savetodrive website ke homepage par hi aapko ye message milega ki ye website kuch dino ya kuch mahino ke liye band hai aur aap is website par shayad August se apni files ko fir se upload kar paye 

Because of various problems, we have to shutdown the site for some time. We are hoping to be back around the start of August.

To is prakar aap kisi bhi file ke URL se Google drive me upload karke rakh sakte Hai to kaisi lagi ye jankari aap logo ko comment karke jarur bataye aur agar jankari achhi lagi ho to like aur share karna na bhule to isi ke sath ye jankari yehi par khatm hoti Hai fir milte Hai aap logo se ek aur new jankari ke sath tab Tak ke liye bane rahiye HOW TO ASHISH ke sath bye bye..
Thanks for reading….

No comments:

Post a Comment

Please comment here about this article